Ek Main aur Ek TU

2
2822

Do lafzo ki hai ye kahani,
Ek me aur ek tu.
Milake bhi na mil paaye,
Raat me aur din tu.
Bhig kar bhi na bhig paaye,
Sahil me aur sagar tu.
Mahek kar bhi na mahek paaye,
Phool me aur khushbu tu.
Roshan ho kar bhi Roshan na huye,
Chand me aur chandani tu.
Saath ho kar bhi saath na rahe,
Ankh me aur Ansu tu.
Jude ho kar bhi na jud paaye,
Sans me aur dhadakan tu.
Ek ho kar bhi ek na ho paaye,
Dhup me aur chhanv tu.
Do lafzo ki thi wo kahani,
Ek tha me aur ek tu.

MITUL PRAJAPATI, Ahmedabad

Prjptmitul@gmail.com

(Disclaimer- Content is subject to Copyright)

2 COMMENTS

LEAVE A REPLY